Monday 16 April 2018

कर्म...

जीवन रूपी रणभूमि में..क्या मैं घुटने टेक अाऊं..
धर कटा के अपना..शीश झुकाकर..
क्या रंग हार का लेप अाऊं..
या उठा खड्ग मैं इन हाथों में..
दिखला दूं क्या इस दुनिया को..
दुष्कर्म से परिपूर्ण ये श्रृष्टि..
फिर..
एकबार इन्हें क्या चेत अाऊं..
जीवन रूपी रणभूमि में..क्या मैं घुटने टेक अाऊं..

सच...

अक्स जो मेरी मेरे पीछे..भागी भागी आती है..
सुख दुख है ये रीत जीवन की..
परछाई एहसास दिलाती है..
ना छूटे रिश्ता इससे कभी..
साथ है इसका उम्र भर का..
ठुकरा दो या प्यार करो..
करवा सच है ये जीवन का..

Saturday 7 April 2018

Hoon main...

Tarasti aankhon se chalakte ashkon ka boond hu main..

Tumhare hothon se nikle alfaazon ka goonj hu main..

Bebasi...

Num aankhon ki sacchai kam hi jaan paate..
Dard-e-tanhaai kam hi jaan paate..

Jo likh dete kore kaagaz pe..
Ya
Keh dete zubaan se..

Samajh kar v aakhr tum kya hi kar paate!!

The mile...

Touch my being...and plug in a soul..
A soul of trust..a soul for real..
A soul to make you feel completely surreal..

Turn it on and add on a little humor..
Do shoo away the "boredom tumor"..
For although it takes a little for one to smile..
It takes a lot to make one..walk that mile..

Bandhan...

Seemaon me mat baandh mujhe..
Aashaon pe mat taang mujhe..

Panchi bankar mujhe jeena hai..
Paani...har ghat ka peena hai..

Ooche..amber me udna hai..
Phr aasaman se girna hai..

Sukh me v mujhe hasna hai..
Or dukh me v mujhe hasna hai..

Khuli hawa me saanse khench kar..
Nadi ki..dhaaraon me behna hai..

Bas qhwaish ye ki himmat ho..
Thak jaane ki na tohmat ho..

Phr jo vipda aan pade..
Hothon pe tab muskaan pade..

Phr aaj ladai ladni hai..
Phr jeet v haasil karni hai..

Seemaon me mat baandh mujhe..
Aashaon pe mat taang mujhe..

Friday 6 April 2018

Meri pari..

Shyd wo khwaab si thi..nanhi si ek pari..
Aankhen par uski thi..ashkon se labalab bhari..

Jane kisne rulaaya use..kisne dil uska dukhaya..
Badnaseeb hai wo.. jo us maa ke dard ko..naa samajh paaya!!